Tuesday, December 17, 2013

Tere LaboN Se Ada Ho JaaoN

Mujhe dekhkar bhi meri tadap ko samajhta nahin
Kaisa mom hai jo husn ki tapish mein bhi pighalta nahin

Pal bhar ke liye bhi tu mujhse juda nahiN, woh lamha ho jaaoN
Kabhi ahd shikni na ho mujhse, maiN ahl e wafa ho jaaoN

Meri ishq ki mauje uth uth kar, bas yehi kah rahi hai ab toh
Har lehar mein tera rang nazar aaye, maiN woh darya ho jaaoN

Teri aankhoN meiN hi mujhe, apni pehchaan nazar aati hai
Tu de de mujhe apna sahara, maiN bhi tera sahara ho jaaoN

Ek tere siwa har baat mujhe, jaise be maani si lagne lagi hai
Jo sirf aur sirf tere darr tak jaata ho, maiN wohi raasta ho jaaoN

Sirf yehi khwaish panap rahi hai, “Prashant'' ke dil meiN ab toh
Bankar ek khoobsurat si dua, maiN tere laboN se ada ho jaaoN
.......ණ Presented By : Kumar Prashant-Pk™
kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai, dil k likhe ko to bas dil samajhta hai.......

No comments:

Post a Comment