Tuesday, September 16, 2014

कैसे स्वप्न के फल होते हैं शुभ और किसके अशुभ, जानें


शास्त्रों में स्वप्न के शुभ-अशुभ फलों का वर्णन है। कई बार ये स्वप्न भविष्य में होनेवाली घटनाओं का संकेत भी देते हैं। जब हम सोए रहते हैं तब हमारे शरीर पर हमारा कंट्रोल नहीं होता, लेकिन सूक्ष्म मन इस वक्त भी क्रियाशील होता है।
शास्त्रों के अनुसार रात के पहले हिस्से में देखे गए स्वप्न का फल एक वर्ष में, दूसरे प्रहर में देखे गए स्वप्न का फल करीब 8 महीने में, तीसरे प्रहर के स्वप्न का फल तीन महीने में और ब्रह्म मुहूर्त में देखे गए स्वप्न का फल अगले एक सप्ताह में और उठने से ठीक पहले देखे गए स्वप्न का फल ठीक उसी दिन प्राप्त होता है। आइए, जानें किस स्वप्न को देखने का क्या फल मिलता है...




1.कई लोग स्वप्न में सफेद कपड़े देख कुछ अनहोनी की आशंका से ग्रसित हो जाते हैं, लेकिन माना जाता है कि सफेद कपड़े देखने का अर्थ मान-सम्मान की प्राप्ति है।

2.यदि सपने में किसी चुड़ैल का आपने दर्शन किया है तो कहते हैं कि आपकी धन हानि होनेवाली है।

3.यदि आपने सपने में देखा है कि कुछ सामने लिखे अक्षर आप पढ़ नहीं पा रहे हैं तो कहते हैं इसका अर्थ समझना चाहिए कि कोई विपत्ति आने का संकेत है यह।

4.यदि सपने में आपने खंडहर घर या कोई मकान देखा है तो कहते हैं यह शुभ फलदायक ही होता है। स्वप्न में खंडहर देखने का मतलब आपको धन-संपत्ति का लाभ होनेवाला है।


5.यदि सपने में आपने खुद को चप्पल पहनते हुए देखा है तो समझ लें कि जल्द ही कोई यात्रा का योग बनने वाला है।

6.यदि सपने में आप ऊंची बिल्डिंग का दर्शन कर रहे हैं तो कहते हैं कि धन और यश की प्राप्ति का यह संकेत है।

7.यदि सपने में किसी ने आप पर हमला बोल दिया है तो डरिए मत, आपकी लंबी उम्र की ओर यह एक इशारा है। 


Tuesday, December 17, 2013

Tere LaboN Se Ada Ho JaaoN

Mujhe dekhkar bhi meri tadap ko samajhta nahin
Kaisa mom hai jo husn ki tapish mein bhi pighalta nahin

Pal bhar ke liye bhi tu mujhse juda nahiN, woh lamha ho jaaoN
Kabhi ahd shikni na ho mujhse, maiN ahl e wafa ho jaaoN

Meri ishq ki mauje uth uth kar, bas yehi kah rahi hai ab toh
Har lehar mein tera rang nazar aaye, maiN woh darya ho jaaoN

Teri aankhoN meiN hi mujhe, apni pehchaan nazar aati hai
Tu de de mujhe apna sahara, maiN bhi tera sahara ho jaaoN

Ek tere siwa har baat mujhe, jaise be maani si lagne lagi hai
Jo sirf aur sirf tere darr tak jaata ho, maiN wohi raasta ho jaaoN

Sirf yehi khwaish panap rahi hai, “Prashant'' ke dil meiN ab toh
Bankar ek khoobsurat si dua, maiN tere laboN se ada ho jaaoN
.......ණ Presented By : Kumar Prashant-Pk™
kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai, dil k likhe ko to bas dil samajhta hai.......

Thursday, December 12, 2013

Domestic Violence & Abuse.........Pk

Iss Visheh Ko Hum Kayi Baar Roz-Aana Zindagi Mein Nazar-Andaaz bhi Kar Dete Hai Par
Yeh Visheh Aaj ke Daur Mein Aur Bhi Zyaada Dekhne Aur Padhne Ko Milta Hai
Jisse Hum "Domestic Violence & Abuse" Kehte Hai.. Kal Hi Ki Baat Hai
Ek Aisa Vaakhya Padha Maine Jisse Padhkar Main bahut Der
Tak Soch Mein Jaise Dooba Raha.. Chaahta To Woh
Vaakhya Yahaan Likh Sakta Tha Par Nahi Mera Udesh Uss Vaakhya Ko Sirf
Padhaana Nahi balki Aise VaakykoN ko Har Ek Ki Zindagi
Se Nikaalna Hai.. Sirf Itna Kehna Chahunga Ke Kisi Se Bhi Zulm Sehna
Bhi Utnaa Hi Galat Hai Jitna Ke Zulm Karna.. Aur Kaash Har Insaan Ek
Aurat Ke Wajood Ko Samaj Sake....... Usse Woh Izzat De Sake Jis Ki Woh
Sahee Haqdaar Hai....Shukriya !!

Yeh Naa Soch Ke Tu Kisi Par Koi Ehsaan Kar Gaya....
Iss Khoobsurat Rishte Ki Tu Yeh Pehchaan Kar Gaya....

Uss Ke Aankh Se Tapka Ek Ek Qatra Kuch Kehta Hai...!!

Ek Dil Tha Uss Ke Paas Jiise Tu ne Be-Jaan Kar Gaya....

Duniya Kisi Ke Pyaar Mein Jannat Se Kuch Kam Nahi....

Pyaar, Mohabbat Ko Tu, Mehaz Jaise Koi Samaan Kar Gaya....

Dard Jab Teri Hi Ataa Hai To Woh Gila Bhi Kisse KareN....

Ek Haste-Khelte Pariwaar Ko Tu Khud Viraan Kar Gaya....

Aurat Ke Wajood Ko Kabhi Samajh Kar To Dekh Ehh Nadaan....

Teri Khaatir Jo Apna Sab kuch Pal Bhar MeN Qurbaan Kar Gaya....

Kehne Ko To Maraasim, Hote Hai Sab Bahut Gehre....!!!!

Ek Ghar Ko Aaj Phir Jaise Chaar Deewari Makaaan Kar Gaya....

Kya Yeh Hoti Hai Insaaniyat, Kya Yeh Hi Hai Mardaangi....

Waah Re Insaan, Insaan Phir Aaj Khud Ko Haiwaan Kar Gaya.....

Zindagi Bin Humdard, Humsafar Ke Kuch Bhi Nahee....

Jo Yeh Naa Samjhe, Woh Apni Zindagi Ka Hi Nuksaan Kar Gaya...........

..ණ Presented By : Kumar Prashant-Pk™
kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai, dil k likhe ko to bas dil samajhta hai........

Wednesday, November 27, 2013

Badal Gaya Hoon Main

mujhe na ab aawaz dena bahut dur nikal gaya hoon main
jiwan ki khoj mein khud ki zindgi ko nigal gaya hoon main

jaat par lagi badi se badi chot ko pathar ban seh gaya tha
dil par lgi mamuli chot se buri tarh dahal gaya hoon main

naa tod sake mujhe zamaane bhar k gham aur sitam bhi
uski nam aakhein dekh mom ki tarh pighal gaya hoon main

nadan tha nahi kar paya fark mohabbat aur bewafai mein
uski bholi masoom surat se phir se chhal gaya hoon main

kal tk zinda dili se jeene wala seher-e-aagaaz sa tha main
aaj tanha udas shaam sa chupchaap dhal gaya hoon main

keh-kahe pichhe chhut gye khamoshi ki dabish me aa gya
waqt ki aanch mein jal dekho kitna badal gaya hoon main

Tuesday, November 19, 2013

Ek Ladki....


Uski Yeh Ada . Dil Ko Bohat Hi Bhaati Thi
Daanton Men Jab Wo . Dupatta Dabaati Thi.

Phir Sambhale . Kahaan Sambhalta Tha Dil
Pakad Ke Jab Ungli Se. Lat Ko Gumaati Thi.

Dekhkar Aksar . Nikal Hi Jaati Thin Aahein
Ban Sanwar Kar Samne .Jab Kabhi Aati Thi.

Thi Chehre Men Is Qadar Masoomiyat Uske
Ki Lagti Phoolon Si . Jab Bhi Muskurati Thi.

Aa Jata Gar Main . Daf-Atan Saamne Kabhi
To Bada Hi Pyaar Bhara Wo . Sharmaati Thi.

Haye .Thi Ek Aisi Bhi Pagal Si Ladki Prashant
Jo Mujhko Bohat . Aur Bohat Hi Bhaati Thi.

Naaz

Inkaar mohabbat ka karega too kahaaN tak
aayega kabhi naam mera teree zubaaN tak

mil jul ke chalo pyaar ka sansaar basaayeN
tanha na bana paayeNge ham ek makaaN tak

ye raah mohabbat ki mohabbat ka safar hai
is raah pe le chal too mujhe chahe jahaaN tak

shaatir ho bade pyaar ki shatranj meN tum bhi
dekheNge na khaaoge bhala maat kahaaN tak

kahte ho ‘#Prashant’ apna habeeb aaj mujhe tum
ye baat to achchhee hai magar sirf bayaaN tak

Sachin Tendulkar Tu Iss Desh Ki Shaan Hai.....!!

Khel ke Maidaan MeN Woh Iss Kadar Chal Ke Jaata Hai...
Sher Jaise Apne Guffa Se Be-Khuaf Nikal Ke Aata Hai....!!!

Every Cricketer Has A Past...!!!!
But Sachin Tendulkar A History...........

Your Die-Hard Fan........

Jis ne Iss Tirange ka Aur Bhi Maan Badhaaya Hai....
Jo Har Bharat Vaasi ke Dil Mein Samaaya Hai....

Jisse Dekh Kar Har Gendbaaz Ghabraaya Hai....
Jo Mushkil Waqt Mein Bhi Muskuraaya Hai....

Tez Aandhi meiN Bhi Jis ne Saahas Dikhaaya hai....
Duniya Ne Jis Ke Aage Apna Sar Jhukaaya Hai....

Cricket Mein Har Ek Kirdaar Jis Ne Nibhaaya Hai....
Har Jagah, Har Baar Jis Ne Apna Sikha Jamaaya Hai....

Duniya Ke Har Maidaan MeN Desh Ka Parcham Failaaya Hai....
Jab Iss Ka Balla Guuma, Koi Isse Rokh Naa Paaya Hai....

"God Of Cricket" Yeh Hi Naam LaboN Par Mere Aaya Hai....
Yakeenan Tujhe Jaata Dekh Kar Har Ek Ka Mann Bhar Aaya hai....

yeh Woh Sher Hai Jisse Duniya "Sachin Tendulkar" Kehti Hai....
Jisse Alwida kehne Ke Liye Aankh Hum Sab Ki Behti Hai....

Sachin Tendulkar Tu Iss Desh Ki Shaan Hai.....!!
Tujh Par Har Shakhs, Har Ek Ko Maan Hai......!!!!!

...ණ Presented By : Kumar PrashanT-Pk™
kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai, dil k likhe ko to bas dil samajhta hai........

Wednesday, November 6, 2013

Mere muhabbat ko woh is tarah aazmaate hain....

Hai muhabbat unhe bhi bas iqraar karna baaki hai
Mere yaadoN se apne dil ko beqaraar karna baaki hai

Mere muhabbat ko woh, is tarah aazmaate hain
Khwaabon meiN bhi mujhse, nazreiN churaate hain

Hum jab kabhi unke, qareeb jaane ka sochte hain
Woh apni qaatil adaaoN se, auroN ko lubhate hain

Uff bada hi khoob andaaz hai, unke lutf uthaane ka
Mere dil meiN rehkar, mere hi dil ko tadpaate hain

Banakar mere yaadoN ko kaagaz, aur aansoo ko siyahi
Mere aankhoN ki masti ko, apni ghazal bataate hain

Yeh rutbah yeh shohrat, sab hamara hi badaulat hai
Mere tareef meiN likhi hui, kalaam ko gungunaate hain

Hai unhe bhi muhabbat “Prashant” se, beintehaan magar
Phir bhi use raaz ki tarah, apne dil meiN chupaate hain

...ණ Presented By : Kumar PrashanT-Pk™
kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai, dil k likhe ko to bas dil samajhta hai........

Thursday, October 17, 2013

mohabbat ne ek awara ki zindagi to badli thi...

ek waqt ki baat hai ek ladka tha banjara sa...
khule gagan me udta rahta wo panchhi awara sa...

na ghar ki thi chinta koi na apna thikana tha...
har dar par wo firta rahta tha mara mara sa...

mar pit awara gardi se use fursat nhi milti thi...
apne jaise awara dosto ke sar pe hi zindagi uski chalti thi...

magar jyada din chal na saka uska ye dhong dhtura...
ek ladki mili jiski ankho ka jadu chal gya us pe pura...

dhire dhire us ladki ko bhi bhane laga tha ye awara...
ek baar mile phir milne lage dobara dobara...

dono ke dil me khyal ab shadi ka sajne laga tha...
magar zami asman kaise ek honge ye dar sabhi lagne lga tha...

ladki ne apne baba ke aage apna sara kissa rakha...
magar baba ne ladke ko ek dam se nakara...

apni bezti sunkar ghar se nikal aaya bechara...

magar ladke ne har na mani mehnat karne laga wo...
mehanat kar ke din rat marne laga wo...

kuchh hi salo me ladke ne apna alag hi mukam bnaya...
mehanat ho to kuchh bhi hasil hojayega duniya ko smjhaya...

apni khushi manata hua ladki ke ghar jab pahucha...
dekha waha jalsa laga tha mohal tha garma garmi ka...

waha mandap saja hua tha magar dulha dulhan nhi the...
ladka itna kuchh smjh na paya sahi se...

magar andar jate dang rahgya ladki lal jode me arthi pe padi thi...
uska baap pairo me tha maa uski sar pe hath fer rahi thi...

ladke ne jate hi gili ankho se ladki ka matha chuma...
swal bhare nazro ke sath baap tarf wo ghuma...

baap ne btaya ke kafi intzar ke baad hum iski shadi kra rahe the...
nhi karegi to achha na hoga kah kar dra rahe the...

taiyar bhi hogyi thi magar na jane jaan kio dedi...
jo baat thi kam se kam khul ke to hamse kahti...

tabhi ladki ki chhoti bahan ne chithi ladke ko di...
us chithi ne ladke se sari khani kah di...

likha tha mai ab aur intzar nhi kar sakti...
magar tumhari na hone pe mai hu mar sakti...

kisi aur ka hone se achha mai duniya se hi uth jau...
tumhari na hui to ab kisi ke hath na aau...

ladka ye padhte padhte achanka ladke ke upr gir gya tha...
jab dekha sabne to achank hi wo mar chuka tha...

shadi wale ghar se aaj do lashe uth rahi thi...
unki lashe unki sachi mohabbat ki dastan kah rahi thi...

mohabbat ne ek awara ki zindagi to badli thi...
magar iske badle me do masoom jane bhi li thi......

kuchh to sharam kar ye tu kya kar rha hai...

maa ne kabhi bola beta meri davai to lade....
tab lakho bahane tune bnaye honge...

mashooq ne kaha mujhe film dikhade...
tab dhoop me ticakt khidki pe kitne dhakke tune khaye honge...

kabhi jo pyar se maa ne tujhe danta hoga...
uss dant ke badle na jane kitne tane tune use sunaye honge...

jaan jo teri tujhe kutta bhi kah de...
besharam pakka tune kutta sun kar bhi dant dikhaye honge....

papa ki fatkar se tu ghar chhodne ko doudta hai...
jaan ki dant sunkar ulta use manane ke liye na jane kitne tareeke tune apnaye honge...

kuchh to sharam kar ye tu kya kar rha hai...
jisne paida kiya usse marta hai aur jo barbaad karegi uspe mar rha hai..

Wednesday, October 16, 2013

Tujhse mohabbat kar ab maine tere dil mein panah li hai....

Tujhse mohabbat kar ab maine tere dil mein panah li hai....
dard mile ya mile aaram sanam ab ye kisne parwah ki hai....

is mohabbat mein kar diya hai sab kuch tere naam....
tere qadmo mein dil ke sath sath jaan bhi bichha di hai....

khusiyan mile hajaar tujhe chehre se muskan na ho gum....
mere deewane dil ne har dum tere liye itni si dua ki hai....

tujhe soche tujhe chahe tujhe he bas apnaa bataye....
mere is nadan dil par tune kaisi ishq ki hwa ki hai....

bin dekhe tujhe neend aati nahi chain bhi aata nahi....
meri aakhon ko tere deedar ki aadat tune lga di hai....

apne narm narm labon se chhua jo ekbar mere labon ko....
bujhti hi nahi labon ki jo tishangi tmne bdha di hai....

deewana ban tera bas tera hi khyal mein dooba rahun....
mohabbat mein sanam meri hasti tune ranjhe si bna di hai.....

Destination Of Google Search

golu     - arre yaar bholu Shayari aur Shayar ka matlb batao ?
bholu   -  Google pe "Shayari" type karo
               fir us search ka jo destination hoga wo huyi Shayari
               aur  likhnewala Shayar

Chaal Gadhe Ki Bat Ghodo Wale

chaal gadhe ki bat ghodon wale
     unlogon ko haushla mat do jo jeete hain galatfahmi pale
            chehra chuchundar ka aur parda udhar ka dale

दिल नाम का घड़ा

एक नज़र  जब उनपर पड़ा !
शरम से उनका सिर गड़ा   !
लाइन मारने चांस नही दिया !
अब तो डर है कहीं धडकते -धडकते फूट न जाये !
दिल नाम का मेरा घड़ा     !

Monday, October 14, 2013

Gori Koyal


dhadkno ne bahut tez raftaar pakad li hai
dil ne  shayad pyaar ki taar pakad li hai,
kisi ki justajuu koi nayi arzoo nhi hai abb
jbse man ne pyar ki karobaar pakad li hai
ek ajeeb si madhurta gunjti hai tere paas
kya,tere rangin labon ne sitar pakad li hai?
gori koyal ki awaj sunayi de rhi hai kano mein
jarur esne tere labon ki guftaar pakad li hai
"Prashant" bhi ulfat ka maza utha rha hai kyonki
meri zindgi ne tilism-e-bahaar pakad li hai

Nya Rasta Pasand Karo

ek nya rasta pasand karo
jis raste par nhi chal sakte ,
us raste par chalna band karo

Friday, October 11, 2013

Wo Phir Rulaane Chale Aaye.......Pk

aakhon ke samne chehre jaane pehchane chale aaye
yad phir mujhko kuch bhule bisre afsaane chale aaye

din to masrofiyat  ke chalte nikal gaya kaise na kaise
din dhala aur dhalte he yadon ke taraane chale aaye

aadatan unke aane ki umeed ki lou jla rakhi thi maine
qisse purane hawaon ki tarah use bujhane chale aaye

sambhal sambhal kar guzar rahe the zindgi ko phir se
unke hone ka ehsas mere qadm ladkhdane chale aaye

khud hee dete rahe ta umar dard-e-gum ka zakham
khud hee in zakhmo.n par marham lagane chale aaye

ek umar beet gai mujhe khud kee pehchan karne mein
abhi hasna sikha hee tha wo phir se rulaane chale aaye

Monday, September 30, 2013

Inn Ehssaso Ki Kabhi Koi Umar Nahi Hoti!!!!

Shayad Yeh Topic Kuch Alag Ho Ya Yeh kavita Padhne Mein Kuch Alag sa Lage.. Par Hum Sab Wahi Likhte Hai, Jo humne Kabhi Mehsoos Kiya Ho, Yeh Kavita Bhi Uss Topic par Adhaarit Hai, Jo Maine bhi Kisi Apne Ko Iss Daur Se Guzarte Hue Dekha Hai.. Yeh Topic Hai DIVORCE\SEPARATION Ke Upar.. Mera Koi Apna Iss daur Se Guzar raha tha.. Uske Dil ka Dard main Jaanta Hoon.. Yeh Kavita ussi Ek Soch Par Adharit hai.. Iss Kavita Mein Do Kirdaar Hai.. Ek Ladke ka To Ek Ladki ka..Yeh Kavita Unn Dono Ki Aapsi Baatcheet Hai, Jo Sirf Meri Ek kalpana hai Ke Bichadne Ka Baad, Kabhi Woh Phir Mile To Aapas Mein Kya Baat Karte Honge.. Unki Kya Shikayeten Hongi.. Aur Ab Unki Kya Majbooriyan Hongi.. Uss Dard, Uss Ehsaas Ko Lafzo mein Utaarne Ki Koshish Kar Raha Hoon... Shukriya....

Note: Iss Kavita Mein suruwaat ke 4 lines Ladke Ke Kahe Hue Alfaaz Hai
Aur 4 lines Ek Ladki Ke...

Ladka--->
Ek Arse Ke Baad Tujhe Dekh Kar
Kuch Sawaal Se Dil mein Aate Hai!!
Be-Inteha Mohabbat Ke Baad Bhi,
Kya Do Log Juda Ho Jaate Hai...

Ladki--->
Inn Sawalo Se Mera Bhi,
Ab Ek Gehra Naata Hai!!!
jahan par Pyaar Ki Umar Khatam Ho jaaye,
Waha Par Koi Kya Kar Paata Hai...

Ladka--->
Yeh Agar Sach hai
ke har Khata Meri Hi Thi!!!
To Tum Jo Saza Do Woh Kabool Hai Mujhe,
bas Ek Baar Itna Keh De, Ke "Tu Ab Bhool Jaa Mujhe...."

Ladki--->
Main Jis Raah par Chal Padhi Hoon
Udhar Koi Raasta Naa Tha!!!
Par Sach To Yeh hai Ke,
Tu Mera Hokar Bhi kabhi Mera Naa Tha...

Ladka--->
Kuch kasoorvaar Main Bhi Hoon,
To Kuch Kasoorvaar Tu Bhi,
Par Main Tujhse Juda Hokar Bhi Kabhi Juda Naa Tha!!
Khata Hui hai Mujhse Par Kya Karoon??
Insaan Hi Hoon main!!! Koi Khuda Naa Tha....

Ladki--->
Par, Jo Shaks Bichad Jaaye,
Woh Phir Milkar Bhi To Mila Nahi Karte!!
Phool Jo Murjha Jaaye Ek Baar,
Woh Phir Khila Bhi To Nahi Karte....

Ladka--->
Aaene Mein Khud Ko Jab Dekha
Usme Mera Chehra Naa Tha!!!
Zakhm To Maine Bhi khaaye Bahut,
Par Koi Zakhm Itna Gehra Naa Tha....

Ladki--->
Jo Zakhm Khaaye hai Hum Dono Ne,
Woh Guzarte Waqt Ke Saath Bhar Jaayenge!!!
Bas Afsos Iss Baat Ka Hai Ke,
Hum Tujhse Juda Hokar Hi Mar jaayenge....

Ladka--->
Mehsoos Hota Hai Mujhe Kuch Yuh,
Ke Juda Hona Tujhe Bhi Kabhi Gawara Naa Tha,
Par Hairaan Hoon Main Aaj!!
Tune To Kabhi mujhe Phir Pukaara Naa Tha....

Ladki--->
Maangkar Tujhse Pyaar Paana,
Mere Liye Woh Pyaar Nahi!!!
Sach To Yehi Hai Ke Aisa Koi pal Nahi,
Jab Mujhe Tera Intezaar Nahi....

Ladka--->
Kaash..!!!! Main Tujhse Phir
Woh Baat Keh Paata!!!
Tera Hoon Aur bas
Tera Hi Ban Kar Main Reh Jaata....


Mai Kehta Hun Yaro Pyaar,Ishq, Mohabbat!!!
Inn Ehssaso Ki Kabhi Koi Umar Nahi Hoti!!!!
Saath Ho Humraahi To Zindagi Ki Koi Raah,
Phir Mushkil Nahi Hoti....

Thursday, September 26, 2013

Happy BirthDay -Man Mohan Singh

 
Must Read Every Indian

Happy B'day Sir/ Dedicate to u.........
Manmohan Singh,PM (India)
September 26, 1932 (age 81 years)

ओ वीर-प्रजा के निर्बल राजा कुछ आह सुनाई देती है,
या फिर तुमको बस अपनों की कराह सुनाई देती है?

तुम प्रजातंत्र के श्रेष्ठ शिखर पद पर बैठे सम्मानी हो,
फिर भी तेरे पदचाप तले क्यूँ दुश्मन की मनमानी हो?

क्या विधवाओं का क्रंदन तुमको श्रृंगारिक-रस लगता है?
या सिसक रही आवाजों में तुमको प्रपंच बस लगता है?

तुम भारत के वीरों पर अक्सर लाठी बहुत चलाते हो,
पर दुश्मन को मेहमान समझकर बातचीत पर लाते हो?

कब तक मौन रहोगे मोहन कब तक सर कटवाओगे?
क्या तुम भी अब धर्म-सतह पर भारत को बंटवाओगे?

वह्नि तपिश में जल जलकर सोने का रंग निखरता है,
किन्तु जलन से डर जाना निर्मम निष्ठुर कायरता है,

हमने कब ये कहा तुम्हे सीमा पर जाकर लड़ना है,
हमने कब ये कहा तुम्हे सीमा से आगे बढ़ना है,

पर जो वीर देश की खातिर लड़ने को तैयार खड़े,
तुम उनको क्यूँ रोक रहे हो बालहठों से अड़े-अड़े?

तुमसे लज्जा की भीख मांगती भारती-धरा पांचाली है,
पर ऐसा लगता है तुम्हारा तरकस तीरों से खाली है,

तेरे मंत्री ये कहते हैं-"अब युद्ध-दबाव नहीं हम पर"
लेकिन दिल्ली में युवकों पर दिखलाते रण-कौशल जम कर,

दिल्ली में इतनी ठंढ नहीं कि तुम कुछ बोल न पाओगे ,
हमने तो सोचा था तुम भी शब्दों के बाण चलाओगे,

जब सेनानी के रग-रग में भी खून नहीं बस पानी है ,
ऐसे कायर राजा से रक्षा की उम्मीदें बेमानी हैं!

पर याद रखो वह दिन तुमको भी यही समय दिखलायेगा,
तुम बिलख-बिलख कर रोओगे पर कोई काम न आएगा !

कुमार प्रशांत

Wednesday, September 25, 2013

Likh Deta Hai Kai Afsano Ko

Jab Dil Tooteta hai Posted Image

likh deta hai kai afsano ko kyun wo khuda
dikha deta hai kyun jhhonthe armaano ko yuhi bewajeh
dil tooteta hai ,khatm ho jata hai ,jo pehte tha maza
aur yeh zindagi reh jaati hai bebas mayoos ek saza

kai baar socha kya ho sakti hai is sabki wajeh
kyun itni kaatil hoti hai kisi ki yaad kisi ki wafa

kyun khushi humse aise pesh aati hai jaise ho bewafa  
kyun khamoshi dil ko itna lubhati hai jaise ho humpe fida

Humne Research ki , kyunki jaroori tha dhudena aajkal har kisi ka dil hi toot raha hai :P

dil jab bhi kisi se tootkar pyaar karta hai
tab dil sabse pehle khud pe aitbaar karta hai

usko lagta hai ki duja banaya hai khuda ne sirf uske liye
wo apne har khwaab ki phir usese shuruaat karta hai

dheere dheere mohabbat ka khumaar chadta hai
ishq bas jata hai rooh mei ,ishq sawaab sa lagta hai

magar jab tooteta hai koi bhi masoom dil
to sabse pehle wo apne ahem se sawaal karta hai

mujhme kami kya thi ???????????


darasal kami hum sabme koi nahin hoti .....hamara khud pe se vishwaas toot jata hai ...aur isiliye wo insaan badal jata hai ....wo bhool jata hai ki wo akela nahin uske apne hain saath mei ..aur unka pyaar har zakhm ko bhar sakta hai har dard ko kam kar sakta hai ...bas batene ki jaroorat hai

isliye gham ho ya khushi usko jaroor apne chand doston se baantho
par khudgarzo se hamesha door raho ,sacche dil mei jhaanko

Kumar Prashant

Tuesday, September 24, 2013

गोरी की चितवन सजे मन में आवे चैन..


काजल आँखों में लगे, सुंदर लागत नैन।
गोरी की चितवन सजे, मन में आवे चैन।।
मन में आवे चैन, देखि कजरारे नैना ।
निरखें तुमको नैन, पास बैठें दिन रैना ॥
कहि ‘प्रशांत’ कविराय, देखि कर काले बादल।...

विरह में न बह जाय, तेरी आँख का काजल॥

Friday, September 20, 2013

Abhi Imtihan-E-Ishq Baaqi Hain

Ye zamane ayenge na laut kar phir
Na tum rahenge na ham vanha phir

Judai ke vas-vase uthne lage hain phir
Bithaalo tum paas apne kas-kasa ke phir

Ho-len hosh-o-havas gum to kiya gham
Tere badn ki khushbu men khojayenge phir

Abhi imtihaan-e-ishq baaqi hain jan-balab
Kuch bewafai, kuch gham aashnai honge phir

Hashr tak saath ka vada jo tera raha
Maut ke fa’aslon se namuraadi hogi phir.

Saturday, September 14, 2013

Dev-Yeshu-Khuda-Budha-Mahaveer Tu

khuda ka hi raj sare kainaat mein jo hai din mein jo hai rat    mein
ek viswash bas  bhagwan mein jo hai tere mere sabke jaan mein
rab hai hamesa hamare vich mein farq nhi karta wo unch - nich  mein
ek anokhi santi "naam"Yeshu mein jiski chhawi hoti hai har shishu mein
dharm ka parchar kiya sudh mein ek bhagwan tha Gautam Budh mein
Anjane Bhagwan ka hi rup tha mahaveer mein bataya tha jisne ,kuchh nhi rakha hai sharir mein

AankhoN Ki Gali MeiN Koi Awaara Sa Aansoo.......Kumar Prashant

AankhoN Ki Gali MeiN Koi Awaara Sa Aansoo
PalkoN Se Tere Ghar Ka Pata Puch Raha Tha...
 
~~~~~~~
 
Ek Baar Aur..Phir Se Milne Ka Bahaana Kar Le
Inn AshqoN Ko Ab AankhoN Se Ravaana Kar le

Haal-e-Dil Naa Puch Bas Gale Se Lag Jaa..
Aisa Naa Ho ke Dard Dil meN Thikaana Kar Le

Main Mujrim Hoon To De Saza Umar Bhar Ke Liye
Kyun Naa Mujhe Humesha Apna Deewana Kar Le

Ijjazat Ho To Kuch Aur Bhi kehna Chaahta Hoon
Ab Mohabbat Ko Hi Apni Kamaai,Apna Khazaana Kar Le

Ek Taraf Teri Manzil Hai Aur Ek Taraf Main Hoon.
Mukhtasar Hi Sahi Qaid Mohabbat Ka Fasaana Kar Le

Mil Kar Bichad Bhi jaaye To Koi Gham Naa Kar..!!!
Jab Yaad Meri Aaye, Mujhe Apna Sarhaana Kar Le

"Prashant" Mohabbat Bhi Hone Ka Saboot Mangti Hai
Mohabbat Hai To Hai,Chaahe Kuch Bhi Zamaana Kar Le..

........ණ Presented By : Kumar PrashanT-Pk™
.....Is jahan mein mujhko sukoon nahin milta,
Ae dost apne dil mein mera aashiyan kar de...

Friday, September 13, 2013

Kill Me

You've set me up  on fire,
you were only my desire
Save me if you can
or just don't give a damn

Just Kill me, Kill me again
If you can

Everyday i wake up alone
in your hands
lies my burning soul
Oh! i am tired of your shams
you're such a pretty little liar
you've set my world on fire

Save me if you can
or just don't give a damn
Just Kill me, Kill me again
If you can

अपने ही चमन में लुट रहीं तितलियाँ हैं

देश में हमारे ये क्या हो रहा हैं, इंसान इंसान से खफा हो रहा है, खतरे में वजूद है हमारे वतन का, छल कपट में इजाफ़ा हो रहा है। ग़मों की हर तरफ गिर रही बिजलियाँ हैं, अपने ही चमन में लुट रही तितलियाँ हैं, कहीं अइयाशियों पे छाई रंगीनियाँ हैं, कहीं घर में मुसीबतों की परछाइयाँ हैं।

Sambhal kar rahna doston

Sambhal kar rahna doston aajkal dil ki chori hoti hai
Kyonki har  gali har muhalle mein ek na ek gori hoti hai

Teri Yaadein........Kumar Prashant

kitni ajeeb baat hai na...jab tu mere paas thi to har dam yeh sochta tha ki kya main teri kadar nahi karta aur aaj jab tu mere paas nahi to yeh ehsaas hota hai ki qadar to hamesha se hi thi.. par tujhe na khone k yakeen ne andhaa kar diya tha...... bhala kya pata tha aisa bhi kuch ho sakta hai.. mera tujhse alag hona itna hi namumkin tha jitna tera mujhse nafrat karna...

Baitha hu thandi zameen par... aankho mein wo teri ek dimple wali pyari si hansi haath mein teri ek tasveer hai...jise dekh kar har dum main tere chehre pe aane wale baal tere kaano k peeche laga deta hu.. tujhe bht tang karte hai na.. mobile mein fake call pe tera naam daal diya ha.. shuru karke khush ho jata hu..aur jab aas pas koi nahi hota toh mann behlane k liye 2-4 baatein bhi kar leta hu...tere jawab to mujhe pata hi hote hai na..

teri payal ab mere haathon mein bandhi rehti hai.. ekdum waisi hi.. haan bas uske ghungroo zarur nikal gaye hai.. taaki teri maujudgi ka yakeen to ho par ehsaas nai...yaad aati hai wo teri manghadat kahaniya jo roz raat tum mujhe sunati thi.. haule se "babie so gaye kya..?" puch kar ek gud nyt kiss de jati thi....

tum sulati thi to so jata tha.. ab tu nahi sulati to aisa lagta hai meri neend hi so gayi hai...wo meri pyari si bachchi... bheed mein kahin kho gayi hai...jab bhi teri yaad aati hai...toh apne takiye ko bht zor se hug kar leta hu...magar yeh to mujhe wapas gale hi nahi lagata...dekhna isko... daat de.. bolna isey tang na kare...gaane nai sunta hu main ab.. na sun pata hu apna hi gham...

har cheez se tu judi hai.. har cheez mein tu basi hai... dil mein kahin faasi phasi hai...yaad aati hai wo gali mujhe.. jahan main aaya karta tha....khud coffee shop mein khade hokar tujhe balcony mein bulaya karta tha...gali to ab bhi wahi hai.. dukaane bhi wahi hai.. bas bheed bht ho gayi h uss choti si gali mein mere liye ab jagah nahi.....abhi abhi toh raah mili thi ki manzil hi mood gayi kahin....I MISS U... MISS U SO MUCH...........

rota hu..bhilakta hu...har dum girta padta hu...koi nahi hai puchne wala.. koi nai hai puchta "babie zyada to nahi lagi na..? aa kissi kar du... ab sab sahi ho jayega"kaun mujhe roz roz bf ki yaad dilayega...kaun baat baat par pyari si on karega...kaun mujhe ulti sidhi harkate karne se warn karega........kaun mujhe horror movies dekh k raat raat bhar jagayega.....kaun phone pe itni zor zor se chillayega.. kaun mujhe anjaano se baat karne se rokega....kaun baat baat par tokega... kaun mere ek phone k liye din bhar wait karega....

kiska 2 n half parathe kha kar bhi pet na bharega...kaun banega bachcha mera.. kisko pyar karunga......kiski bht hifazat karunga... bht laad karunga main..

cheen leti apne aap ko... kyun cheen li mujhse wo meri bachchi... bht maasoom h wo... akal se h wo thodi kachchi...janta hu main wo zinda hai... zinda h kahin tujhme.. bandhi huyi hai nafrat ki zanjeero mein...jinko todne ki taqat nahi hai abhi usme... par yeh na sochna ki yeh bhi hai ek koshish tu kabhi nahi aa sakti zindagi mein meri...

aur bhula na paunga wo pyari si yaadein teri....shayad is chote se dil k liye tu bht badi ho gayi hai.... shayad is pyar k sagar mein kuch bundo ki kami ho gayi hai....khush rakhna isey aye mere khuda... tere aansu kabhi na ho teri aankho se juda...mere aansu jhuthe lagte hai to nahi sunegi ab tu meri siskiyaan... yeh meri kasam............is dard ko daba lunga main.. in aansuon ko chupa lunga main..in yaadon ki aag ko ashkon se bujha lunga main....

leta hu ab ek aakhri alvida tujhse.... karta hu ab is choti si kahani ka pyara sa ant...khush rehna tu hamesha..khushiyaan mile tujhe anant....ja teri nazro se ab maine mooh mod liya.... teri khushi k liye ab maine tujhe hi chhod diya..............

Thursday, September 12, 2013

Roop Varnan

chehre pe chandni
chehre pe noor tha
khuda  ka  banaya
ek anokha kohinoor tha

lab nazuk aur komal  uske
lab bahut hi lubhawani thi
dikhne  mein  lgi  gulab si
wahan honthlali ki chawani thi

ujala - ujala ,gora-gora sa badan
mukh pe mano  sona chadha tha
bhagwan chitrkari ke avesh mein hoga
jb ushne tera sharir ka ang gadha tha

tere ghar mein darpan hai dekh lena
tere roop ka varnan aur kitna karoon
ektak tujh pe tiki nayano se puchh lena
tere roop ka varnan aur kitna karoon

Wednesday, September 11, 2013

Khawabon Ke Age

kismt  so   rhi    hai   to sone do
par   khud   hamesha   jage rho
man   ko    sapne    sajane   do
par khud khawabon se age rho

Yeh Mausam Judai Ka Jaata Nhi

Mujh ko yeh bata do tum e sanam,
yeh judai ka alam kab hoga khatam.
Yade tumhari door jaati hai kyun,
yeh dil karta hai kyun tumpe sitam.
Yeh mausam judai ka jaata nhi,
bin tere hai ab kuch lubhata nhi.
Aina mujhe kuch dikhata nhi ,
bin tere hu main sooch paata nhi.
Yeh mausam judai ka jaata nhi.
Tum ho mere khuda, parmatma,
yeh tera dia main bhujata nhi,
yeh tanhai se main kyun door jaata nhi,
kisi ka saath mujhe bhaata nhi,
Yeh mausam judai ka jaata nhi.
Tumhe hai main kyun bhool pata nhi,
tumhare siva ab kuch aata nhi,
Yeh mausam judai ka jaata nhi.

Smile Launch

let me see for a while, from the lips launch the smile, please please dear for me, keeping your face before me,
let me see for a while, from the lips launch the smile, don't keep them like bud, please bring there SWEET FLOOD,
let me see for a while, from the lips launch the smile, i know you can do, so let me see something special something new

Achha Plan

tere sundar sharir ka bhagwan ne nirmaan kiya,
mujhe tera gulaam banane ka achha  plan kiya,

Sunday, September 8, 2013

haso aur hasao

kala bazaari aur galat dhando me pada hai
gandhi ka desh aaj nafroto me ghira hai

rupye ko aukaat dikhadi hai dollar ne
her roz naye naye muqaam se gira hai

kisi ko farak nahi padta, aisi hukamat hai
madam ka haal puchte her neta dikha hai

sardar ji chup hai, waise bolte wo kab hai
madam ki haami me hi sir unka hila hai

ghuspatiyon ne machaya kahi kohraam hai
kahi aatank ke bomb se masoom mara hai

kamal ke hath me satta ki khujli hone lagi hai
hathi to bus cycle ke peeche pada hai

tum kyun likh rahe ho is trah se ab 'Prashant'
tumhe to hasne hasane se kab mouka mila hai.

...ණ Presented By : Kumar PrashanT-Pk™
kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai, dil k likhe ko to bas dil samajhta hai........

Friday, September 6, 2013

Mohabbat Ka Afsaana..

aaj iss haseen mousam mein kisi ko mohabbat mein dooba dekh kuch yaad aa gaya...

kisi ko muskura ta dekh, tera muskurana yaad aa gaya,
kisi ko chhehek ta dekh, tera ithlana yaad aa gaya,
teri aankhon se bayan-e-mohabbat, mere labo ka sil-jana yaad aa gaya,
iss behak te mousam mein meri mohabbat ka afsaana yaad aa gaya....

Thursday, September 5, 2013

mujhy jeene k liye sirf tera hi saath chahiye…

mujhe khamosh raahon main tera saath chahiye,
tanha hai mera haath tera haath chahiye.

mujh ko mere muqadar per itna yaqeen toh hai,
tujhko bhi mere lafz, meri baat chahiye.

main khud apni shayari ko kya achha kahun,
mujh ko teri tareef, teri daad chahiye.

ehsaas-e-muhabbat tere hi wastey hai,
lekin
junoon-e-ishq ko teri har saugat chahiye.

tu mujh ko pane ki khwahish rakhta hai shayad,
lekin
mujhy jeene k liye sirf tera hi saath chahiye…

Tuesday, September 3, 2013

Mujhe Khwaabo.n Se Tasalli Kar Lene Do.....Kumar_Prashant

Tumhe To Dariyaa Mila Hai.,
Mujhe Boondon Se Tasalli Kar Lene Do..

Tumhe To Heeraa Mila Hai.,
Mujhe Motiyon Se Tasalli Kar Lene Do..

Tumhe To Aaftaab Mila Hai.,
Mujhe Chiraaghon Se Tasalli Kar Lene Do..

Tumhe To Chaand Mila Hai.,
Mujhe Sitaron Se Tasalli Kar Lene Do..

Tumhe To Phool Mila Hai.,
Mujhe Kaliyon Se Tasalli Kar Lene Do..

Tumhe To Pyaar Mila Hai..
Mujhe Nafraton Se Tasalli Kar Lene Do..

Tumhe To Shahar Mila Hai..
Mujhe Gaaon Se Tasalli Kar Lene Do..

Tumhe To Khazana Mila Hai.,
Mujhe Miskeenon Se Tasalli Kar Lene Do..

Tumhe To Khushiyon Ka Tohfa Mila Hai..
Mujhe Ghamon Se Tasalli Kar Lene Do..

Tumhe To Sabkuchh Mila Hai..
Mujhe Khwaabon Se Tasalli Kar Lene Do..

Sirf Dil Ki Fakeeri Ko Hi Accha Sira Milta Hai....Kumar Prashant

Gile ShikweN ShikayateN,Inn Sab Se Bhara Milta Hai
Duniya Ke Bazar MeN Har Shakhs Mara Milta Hai

Woh Ek Daur Tha Jab Dil Se Dil Bhi Milte The
Ab Jungle MeN Pauda KahaaN Koi Hara Milta Hai


Sab Daud Rahe Hai Duniya Ki Bheed-Bhaad MeiN..
Apno MeN Bhi Sirf Kya Tera Kya Mera Milta Hai

Ab Tak To Apne Dil Ko Bachaaye Hue HaiN Hum..!!
Varna Yeh Bhi Duniyavi Sawaalo MeN Gira Milta Hai

Mere BuzurgoN Se Kuch Seekha Hai Maine Bhi Saheb
Sirf Dil Ki Fakeeri Ko Hi Accha Sira Milta Hai

TabdiliyoN MeN Har Cheez Badal Rahi Hai 'Prashant'
Kya Ab Bhi koi Insaan Aisa Hai, Jo Khara Milta Hai