Wednesday, November 6, 2013

Mere muhabbat ko woh is tarah aazmaate hain....

Hai muhabbat unhe bhi bas iqraar karna baaki hai
Mere yaadoN se apne dil ko beqaraar karna baaki hai

Mere muhabbat ko woh, is tarah aazmaate hain
Khwaabon meiN bhi mujhse, nazreiN churaate hain

Hum jab kabhi unke, qareeb jaane ka sochte hain
Woh apni qaatil adaaoN se, auroN ko lubhate hain

Uff bada hi khoob andaaz hai, unke lutf uthaane ka
Mere dil meiN rehkar, mere hi dil ko tadpaate hain

Banakar mere yaadoN ko kaagaz, aur aansoo ko siyahi
Mere aankhoN ki masti ko, apni ghazal bataate hain

Yeh rutbah yeh shohrat, sab hamara hi badaulat hai
Mere tareef meiN likhi hui, kalaam ko gungunaate hain

Hai unhe bhi muhabbat “Prashant” se, beintehaan magar
Phir bhi use raaz ki tarah, apne dil meiN chupaate hain

...ණ Presented By : Kumar PrashanT-Pk™
kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai, dil k likhe ko to bas dil samajhta hai........

No comments:

Post a Comment