Wednesday, November 27, 2013

Badal Gaya Hoon Main

mujhe na ab aawaz dena bahut dur nikal gaya hoon main
jiwan ki khoj mein khud ki zindgi ko nigal gaya hoon main

jaat par lagi badi se badi chot ko pathar ban seh gaya tha
dil par lgi mamuli chot se buri tarh dahal gaya hoon main

naa tod sake mujhe zamaane bhar k gham aur sitam bhi
uski nam aakhein dekh mom ki tarh pighal gaya hoon main

nadan tha nahi kar paya fark mohabbat aur bewafai mein
uski bholi masoom surat se phir se chhal gaya hoon main

kal tk zinda dili se jeene wala seher-e-aagaaz sa tha main
aaj tanha udas shaam sa chupchaap dhal gaya hoon main

keh-kahe pichhe chhut gye khamoshi ki dabish me aa gya
waqt ki aanch mein jal dekho kitna badal gaya hoon main

No comments:

Post a Comment