Friday, October 11, 2013

Wo Phir Rulaane Chale Aaye.......Pk

aakhon ke samne chehre jaane pehchane chale aaye
yad phir mujhko kuch bhule bisre afsaane chale aaye

din to masrofiyat  ke chalte nikal gaya kaise na kaise
din dhala aur dhalte he yadon ke taraane chale aaye

aadatan unke aane ki umeed ki lou jla rakhi thi maine
qisse purane hawaon ki tarah use bujhane chale aaye

sambhal sambhal kar guzar rahe the zindgi ko phir se
unke hone ka ehsas mere qadm ladkhdane chale aaye

khud hee dete rahe ta umar dard-e-gum ka zakham
khud hee in zakhmo.n par marham lagane chale aaye

ek umar beet gai mujhe khud kee pehchan karne mein
abhi hasna sikha hee tha wo phir se rulaane chale aaye

No comments:

Post a Comment