Friday, September 13, 2013

Teri Yaadein........Kumar Prashant

kitni ajeeb baat hai na...jab tu mere paas thi to har dam yeh sochta tha ki kya main teri kadar nahi karta aur aaj jab tu mere paas nahi to yeh ehsaas hota hai ki qadar to hamesha se hi thi.. par tujhe na khone k yakeen ne andhaa kar diya tha...... bhala kya pata tha aisa bhi kuch ho sakta hai.. mera tujhse alag hona itna hi namumkin tha jitna tera mujhse nafrat karna...

Baitha hu thandi zameen par... aankho mein wo teri ek dimple wali pyari si hansi haath mein teri ek tasveer hai...jise dekh kar har dum main tere chehre pe aane wale baal tere kaano k peeche laga deta hu.. tujhe bht tang karte hai na.. mobile mein fake call pe tera naam daal diya ha.. shuru karke khush ho jata hu..aur jab aas pas koi nahi hota toh mann behlane k liye 2-4 baatein bhi kar leta hu...tere jawab to mujhe pata hi hote hai na..

teri payal ab mere haathon mein bandhi rehti hai.. ekdum waisi hi.. haan bas uske ghungroo zarur nikal gaye hai.. taaki teri maujudgi ka yakeen to ho par ehsaas nai...yaad aati hai wo teri manghadat kahaniya jo roz raat tum mujhe sunati thi.. haule se "babie so gaye kya..?" puch kar ek gud nyt kiss de jati thi....

tum sulati thi to so jata tha.. ab tu nahi sulati to aisa lagta hai meri neend hi so gayi hai...wo meri pyari si bachchi... bheed mein kahin kho gayi hai...jab bhi teri yaad aati hai...toh apne takiye ko bht zor se hug kar leta hu...magar yeh to mujhe wapas gale hi nahi lagata...dekhna isko... daat de.. bolna isey tang na kare...gaane nai sunta hu main ab.. na sun pata hu apna hi gham...

har cheez se tu judi hai.. har cheez mein tu basi hai... dil mein kahin faasi phasi hai...yaad aati hai wo gali mujhe.. jahan main aaya karta tha....khud coffee shop mein khade hokar tujhe balcony mein bulaya karta tha...gali to ab bhi wahi hai.. dukaane bhi wahi hai.. bas bheed bht ho gayi h uss choti si gali mein mere liye ab jagah nahi.....abhi abhi toh raah mili thi ki manzil hi mood gayi kahin....I MISS U... MISS U SO MUCH...........

rota hu..bhilakta hu...har dum girta padta hu...koi nahi hai puchne wala.. koi nai hai puchta "babie zyada to nahi lagi na..? aa kissi kar du... ab sab sahi ho jayega"kaun mujhe roz roz bf ki yaad dilayega...kaun baat baat par pyari si on karega...kaun mujhe ulti sidhi harkate karne se warn karega........kaun mujhe horror movies dekh k raat raat bhar jagayega.....kaun phone pe itni zor zor se chillayega.. kaun mujhe anjaano se baat karne se rokega....kaun baat baat par tokega... kaun mere ek phone k liye din bhar wait karega....

kiska 2 n half parathe kha kar bhi pet na bharega...kaun banega bachcha mera.. kisko pyar karunga......kiski bht hifazat karunga... bht laad karunga main..

cheen leti apne aap ko... kyun cheen li mujhse wo meri bachchi... bht maasoom h wo... akal se h wo thodi kachchi...janta hu main wo zinda hai... zinda h kahin tujhme.. bandhi huyi hai nafrat ki zanjeero mein...jinko todne ki taqat nahi hai abhi usme... par yeh na sochna ki yeh bhi hai ek koshish tu kabhi nahi aa sakti zindagi mein meri...

aur bhula na paunga wo pyari si yaadein teri....shayad is chote se dil k liye tu bht badi ho gayi hai.... shayad is pyar k sagar mein kuch bundo ki kami ho gayi hai....khush rakhna isey aye mere khuda... tere aansu kabhi na ho teri aankho se juda...mere aansu jhuthe lagte hai to nahi sunegi ab tu meri siskiyaan... yeh meri kasam............is dard ko daba lunga main.. in aansuon ko chupa lunga main..in yaadon ki aag ko ashkon se bujha lunga main....

leta hu ab ek aakhri alvida tujhse.... karta hu ab is choti si kahani ka pyara sa ant...khush rehna tu hamesha..khushiyaan mile tujhe anant....ja teri nazro se ab maine mooh mod liya.... teri khushi k liye ab maine tujhe hi chhod diya..............

No comments:

Post a Comment