Sunday, September 8, 2013

haso aur hasao

kala bazaari aur galat dhando me pada hai
gandhi ka desh aaj nafroto me ghira hai

rupye ko aukaat dikhadi hai dollar ne
her roz naye naye muqaam se gira hai

kisi ko farak nahi padta, aisi hukamat hai
madam ka haal puchte her neta dikha hai

sardar ji chup hai, waise bolte wo kab hai
madam ki haami me hi sir unka hila hai

ghuspatiyon ne machaya kahi kohraam hai
kahi aatank ke bomb se masoom mara hai

kamal ke hath me satta ki khujli hone lagi hai
hathi to bus cycle ke peeche pada hai

tum kyun likh rahe ho is trah se ab 'Prashant'
tumhe to hasne hasane se kab mouka mila hai.

...ණ Presented By : Kumar PrashanT-Pk™
kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai, dil k likhe ko to bas dil samajhta hai........

No comments:

Post a Comment